Shayari Sms Collection 7
Aasoon se bhari, Ankhon ko chupata kaha, Aakhir apna pyar joh khoya dil tuta… Dhal gaya rishto ki shyam… Uss raat mere mukkudar pe… Asma bhi roya… |
Aye Musafir hum bhi chale thae kabhi un
raho par, sajae thae humne bhi ankho ke saajh par kuch sapne. Lut gaye
hum unhi se joh thaey kabhi mere apne… |
Aap ki badd-dua bhi dua bann k lagi, aapke
har gham ne bhi sukoon diya, hum zinda hai toh yeh jaankar k pyarse na
sahi par, aapne hume yaad toh kiya… |
Hamdam k liye ham dam se gaye, hamdam ki
kasam na mila. Mar ham bhi gaye marham liye zakhmon ki kasam marham na
mila… |
Aaj arse baad jab suni uski awaaz, toh
laga ki mere bahut pass hai woh. Ho gayi nam yeh aankhen jab hosh aaya,
aur paya ki kabhi naa puri hone wali aas hai woh. |
Bina dard k ansu bahaye nahi jate, Bina
pyar k rishte nibhaye nahi jate, Ae dost ek baat yaad rakhna bina DIL
diye, DIL paye nahi jate… |
zaraa palat kar to dekh lete, hum wahi
khade the, pal do pal to aap muskura lete, to un palo mein hum apni sari
zindagi jee lete |
Yun toh bahut tha baatane ko, zamaane se
chup ke chaha tha apne chahne wale ko, kya khabar thi yun tanha chod
deega woh, acha hua ki mere dukh ki khabar bhi na mil paaye zamaane ko.
....... |
Zindagi gar phool, toh tum khushbu ho...
Zindagi gar khwaab, toh tum aarzoo ho... Zindagi gar jeena, toh tum meri
zaroorat ho... Gar Mar jaana, toh haaton mei tera haath ho...!!! |
samunder ko kya dukh hai bataa bhi nahin
sakta, aankhn mai aansuu laa bhi nahin sakta, tu saath chhodkar jaa rahi
hai mera kasoor nahin tera, har shaksh mera saath nibha bhi nahin saktaa....... |
khuda se karne ek faryad baki hai, Humne unse kahni kuch baat baaki hai, maut aayegi to kahenge, RUK meri jaan se abhi mulakat baaki hai. |
Yaad mein teri aanhe bharta hai koi, har
saans ke saath tujhe yaad karta hai koi, maut to sachai hai aani hai,
lekin teri judaai mein har roz marta hai koi....! |
Tumhari dosti, tumhari har wafa hi kafi
hai, tamam umar yeh asra hi kafi hai. Jahan kahi bhi milo mil ke muskara
dena, khushiyo ke liye yeh hasi hi kafi hai… |
WO din din nahi,woh raat raat nahi,wo pal
pal nahi,jis pal teri baat nahi,ki teri yadon se maut hame alag kar
sake,maut ki bhi ye aukat nahi. |
Moom aur patthar ka pighalna aasan hai,
Unke bedard dilo ko pighalo toh baat hai. Jite hue na poocha Shahjahan
ne mumtaz ko, Marne ke khada kiya mahal toh yeh kya kamal hai… .......
|
Nazar ne nazar se mulaqat kar li, rah dono
khamosh par baat karli… Mohabbat ki fiza ko jab khush paya, in aankhon
ne roh roh ke barsaat kar li… ....... |
Jab hum ne unse pooncha, Sapnna kya hota
hain to unhone kaha, Bandh aankhon mein jo apna hota hain khuli aankhon
mein wohi sapna hota hain. |
|
Ehsaas bhaut hoga jab chod ke jayege,
Royenge bhaut magar aasu nahi aayenge, Jab saath na de koi toh aawaj
humein dena, Aasma per bhi honge toh laut aayenge. |
Aankho se dur kya hue hum aapne hame dilse nikaal diya, pehle to yaad karliya karle the abto hame bilkul bhula diya, ek samay tha jab is kadar sms aate the par abto usse bhi mehrum bna diya, waqt mile to is naachiz ko bhi yaad kar lijiye jise aapne ik itihaas bna diya. |
Dost dost nahi khuda hota hai.Mehsus tab
hota hai jab woh juda hota hai.Bina dost ke jina saza hota haiaur dost
aap jaisa ho to jivan tohfa hota hai.. |
Agar din hai to raat bhi hogi hote ho kyon
udas kabhi-kabhi baat bhi hohi,itne pyar se dosti ki hai,khuda ki kasam
zindagi rahi to mulaqat bhi hogi... |
Har lafz ko kagaj pe utara nahi jaata,Har
naam ko sar-e-aam pukaara nahi jaata.Hoti hai pyar mein kuch raaz ki
baatein,Yunhi to is khel mein harra nahi jaata.... |
Ek pathhar kafi hao sisha tod ne ke
liye,ek baat kaafi hai dil todne ke liye aur ek dost kaafi hai zindagi
jee lene ke liye good morning.. |
|
9) Humne socha tha ki shayad hum hi chahte
hai tumko.. Par tumhe chahne walo ka to kafila nikla.. Dil ne kaha
shikayat kar khuda se.. paar khuda bhi tera chahne wala nikla |
Ankhon ki Saja tab tak hai, Jab tak
Didar na ho,
Dil ki saza tab tak hai, Jab tak Yaar na Ho! Yeh Zindagi bhi ek saza hai, Jab Tak Kisi se Pyar na ho! |
Raate Gumnam Hoti Hai......... Din
Kisike Naam hota hai Hum Jindgi kuch is Tarah Jite hai..... ki har
LaMhA Sirf Dosto Ke hi naam Hota Hai
|
Woh mausam woh bahar bhi uske samne
kam thi,uske saath woh waqt woh fiza bhi kam thi.par kya kare aye
zalim apne haathon mein mohabbat ki lakir hi kam thi.
|
Kuch badli hui takdeer nazar aati
hai,yadon ki bani
zanzir nazar aati hai,padhe to kya padhe har panne par teri tasveer nazar aati hai... |
Aap ki vo zaalim ada, mujh ko bimaar
kargayi, ek baar aapne muskura kya diya, teer ko dil ke paar
kargayi.Woh bewafa hai to kiya, mut bura kaho usko, Ke jo hua sau
hua, khush rakhay khuda usko
|
Khali shishe bhi nishaan rakhte hain...
Tute hue dil bhi armaan rakhte hai... Joh khaamoshi se guzar jaye, woh dariya bhi dil me toofan rakhte hain |
Use mat dhoondho jo aapke paas
nahi,kya faida uske intezaar mein jiski koi aas nahi, sirf ek baar
halke se nazar utha ke to dekho, shayad koi aapki ek jhalak ke liye
bekarar ho…
|
Ae dil kisiki yaad mai rona fizul
hai!Aasu bade anmol hai, in hai khona fizul hai. Ro toh unke liye
liye jo tumper nissar hai, unke liye kya rona jinke ashiq hazaar hai.
|
Zindgaki ki Raahon Mein Aise Modh Bhi
Aate Hain. Sawaan Ke Sath-Saath Yahan Patzad bhi Aate Hain. Aansuwon
Ke Saagar Mein Moti Bhi Milte Hain. Joh Unhe Doondh Lete Hain Wahi
Zindagi Jee Lete Hain…
|
Raate Gumnam Hoti Hai.........
Din Kisike Naam hota hai Hum Jindgi kuch is Tarah Jite hai..... ki har LaMhA Sirf Dosto Ke hi naam Hota Hai |
Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi
nahi, Yeh dil hai uske jaane ke baad Sambhalta hi nahi, is umar ke
sehra say uski yaado ke baadal Talte bhi nahi aur Baraste bhi nahin…
|
Chaandni raato mein jab sara jaha sota
hai, lekin kisi ki yaado mein koi badnaseeb rota hai, khuda kisi ko
mohabbat per fida na kare, aur agar kare toh kisi se juda na kare…
|
Na jaane kyon abhi ek aansu aankh se
jhalka,Dil ko shayad tumhari yaad aayi,Chahaat hai itni tum se milne
ki,hasnte hue bhi aankh bhar aayi....
|
Laut jaati hai duniya gam hamara
dekhkar.Jaise laut jaati hain leherein kinara dekhkar.Tu kandha na
dena mere janaze ko,kahi fir zinda na ho jao tera sahara dekhkar...
|
Dard tha dil mein jo paraya tha,
Nikal gaya dil se jo rona aaya. Kuch umeedon pe mohobat ki thi shayad, Jinkey tut janey pe unhein rona aaya. Shaam ki kubsorati deykhi nahi, Dhaltey ujaley pe kyun rona aaya. Zamaney ki baton to dil se laga kar, Utha pyar se bharosa jo rona aaya |
Raat hogi aur chand dikhayie deyga,
Khuda bhi khidki se tumhey niharta dikhayie deyga, Yeh mohobatt ki khamoshi hai sambhal kar rona, Aansoo agar zamein par gire toh sunaie deyga |
kachi deewar ho thokar na lagana
mujhko,
apni nazroon mein basakar na girana mujhko, tumko ankhon mein tasveer ki tarha rakhta hoon, dil mein dadhkan ki tarha tum bhi basana mujhko Gud Morning, |
Tamannao ke samandar to humne bhi
bhande hai, lehreon mai ufaan bhi hai, bus ab dekhna itan hai ki zor
baajuon mai humari chattano se kitna jyada hai.
|
kitna bebas he insan kismat k age,
kitne benur he sapnae hakikat k age, koi ruki hui dhadkan se puche, kitna tadpata he dil mahobbat k age...(Nazm) |
dil ki bat zuba tak lana kitna mushkil
he,
hal-e-dil kisi ko suna na kitna mushkil he. ek hume he teri chahat, ek duniya ki majburi, bich sumnder diya jalana kitna mushkil he... |
Zindagi Ek Saafar Hain Imtihaanon Ka
Yehan Haar Bhi Hain Aur Jeet Bhi Hain Zindaagi Ek Phaasana Hain Aashikon Ki Yehan Milna Bhi Hain Aur Bichadna Bhi.. |
jisne humko chaha ,use hum chaha na
sake,jisko chaha usae hum pa na sake,yeh samaj lo dil tutne ka khel
hai,kisi ka toda aur apna bacha na sake
|
Husn se aj chand bhi sharmaya hai,
tere chehre ne kuch aisa gazab dhaya hai, maang lete tujhe aaj uss
khuda se, par woh bhi tera gulam nazar aya hai!
|
Unhe aadat hai zakham dene ki. Apni
toh fitrat hai gham chupane ki, ab toh aadat si padh gayi hai aasoon
pi janeki, kya haseen saza di hai zaalim ne dil lagaane ki…
|
Ankh to dosti mein dil ki zuban hoti
hai,sachhi dosti to sada bezubaan hoti hai dosti mein dard bhi mile
to kya
Ghabrana suna hai dard se dosti jawan hoti hai… |
Asuoo ko bahut samjhaya ke tanhai me
aaya na karo, mehfil me hamara mazak na udaya karo, ansoo tadap kar
bole, itne logo me apko hi tanha pate hai isliye chale ate hai.
(From: Rajendra K. Sheth - Chennai) |
dard ko dard se dekho,dard ko bhi dard
hota hai,dard ko bhi jarurat hai pyar ki akhir pyar mein dard hi to
hamdard hota hai.
|
agar hoti ye pyaar ki rahen itni aasan
to isme itni kasme khane ki jaroratr na hoti agar samajh hi jati ye
duniya pyaar ko itni aasani se to sayad sajah ko taj banane ki
jarorat na hoti
|
Sehmi si nigaho me khawab hum jaga
denge... suni si raho me phul hum bicha denge... hamare sang muskura
kar toh dekhiye... hum apka har gham bhula denge...
|
Duniya ka har shauk pala nahi jata,
Kaanch ke khilono ko yu uchala nahi jata. Mehnat karne se mushqile
ho jati hai aasan, har kaam taqdeer per tala nahi jata!
|
Jab tumahara dil udaas ho
Humari muskaan ko yaad kar lena Jab sub saath chod de tera Humari baahon ko yaad kar lena This is For You..........Love U A lot........ |
Missed call to ek bahana he,
irada to aapka ek lamha churana he, aap chahe humse baat karo ya na karo, aap ki yadonme humara
ana jana he... |
-Raat KE Bina Kabhi Chandani Nahin
Aati...., Patjhad Mein Kabhi Bahaar Nahin Aati, KE Jaati Hoon Jab B
Khuda KE Dar Par, Tujhe Maangne ke sive Koi Fariyaad nahin Aati....!!
|
Ahsaan hai tera dil par , ke ishq
toone sikhaaya,
Doondha kayi baar dil ko , dariya -e- gum hi paaya Lutaaya kayi baar is dilko , humne teri khaatir, Rang teri wafa ka mere , ashko mein nazar aaya Hoti hai band saanse , na hoga shikva kisiko Samjhenge wo ke unko, koi khwaab bura aaya |
Zindagi Ek Saafar Hain Imtihaanon Ka
Yehan Haar Bhi Hain Aur Jeet Bhi Hain Zindaagi Ek Phaasana Hain Aashikon Ki Yehan Milna Bhi Hain Aur Bichadna Bhi.. |
Dil Ki Nazuk Dhadkano Ko
Mere Sanam Tumne Dhadakna Sikha Diya Jab Se Mila Hai Tera Pyaar Dil Ko Gham Mai Bhi Muskurana Sikha Diya. |
Aankhon pe aasunon ki lakir si bann
gayi, Kabhi socha na tha aisi taqdeer bann gayi. Humne toh firayi
thi ret pe ungliyan, Gaur se dekha to teri tasveer bann gayi…
|
Khyalo ko kisi aahat ki aas rehti hai,
nigah ko kisi surat ki pyaas rehti hai. Tere bin kisi cheez ki kami
to nahi, magar tere bin tabiyat udhas rehti hai.
|
Koi sham aati hai tumhari yaad lekar,
Koi sham jati hai tumari yaad dekar, Mujhe tho us sham ka intezar
hai jo aye tume saath lekar.
|
Aankho mein Aansu hai , phir bhi Labbo
pe Muskaan hai.... kyunki jeena toh har haal mein hai , toh hasne
mein kya Nuksaan hai....SO KEEP SMILING
|
Saath chhod ke kabhi humse juda mat
hona, wafa chahiye tumse bewafa mat hona, ruthe chahe sari khudai
humse magar, tum kabhi bhi humse khafa mat hona...
|
Jinki aankhen aansuon se namm nahi,
Kya samajhte ho unhe koi gham nahi? Tum tadap kar roh diye toh kya
hua? Gham chhupa ke bhi hasne waale kam nahi...
|
Khali shishe bhi nishaan rakhte hain...
Tute hue dil bhi armaan rakhte hai... Joh khaamoshi se guzar jaye, woh dariya bhi dil me toofan rakhte hain... |
Kuch bikhre sapne hai, kuch tuti
yaadein hai, ek chota sa aasma aur ummido ki zameen hai, yun toh
bahut kuch hai zindagi me, bas jise chahate hai, uski kami hai...
|
Khuda na kare aapko kabhi koi gham
milay, khusian aur hansi har dam milay, gham jab bhi badh chale
aapki aur, khuda kare raaste mein usay hum milay...
|
Dard ko bhi ab dard hone laga hai,
dard khud hi hamare ghav dhone laga hai, dard ke sath kabhi roye na
hum, dard khud hi humko chu ke rone laga hai
|
Aasuon ke chalne ki awaaz nahi hoti,
dil ke tootne ki aahat nahi hoti, agar hota khuda ko har dard ka
ehsas, tho usse dard dene ki aadat nahi hoti...
|
Leharon ka kya bharosa...
Kinaron pe aake dum todh deti hai... Apno se kya shikayat kare... Jab ek modh pe aake parchayee bhi saath chodh deti hai... |
Neendain meri Aankhon se churaata hai
wohi shakhs
So jaaoon tou khawaabon mein bhi aata hai wohi shakhs Hur zakhm ka khaaliq bhi koi aur nahin hai............. hur zakhm pe marhum bhi lagaata hai wohi shakhs
|
Palko k kinare jo humne bhigoye nahi,
sab sochte hai hum roye nahi. Sab puchte hai khwabo mein kise dekhte
ho, Hum hai k ek umar se soye hi nahi.
|
Rom-Rom mei humare voh base hai,
Najare humari aur chehra unkha hai, Har saans mein humari voh base hai, Dhadkane humari aur dil unka hai.. |
Mohabbat ko mahobbat ki tarah paa na
sake
Mohabbat ko ibaadat keh Khudda tujhe maan liya Dil sei dil toe kabhi mill na sakei Tere kadmo mein dil ko kurbaan kar diya |
Be-Aetebaar waqt pe Jhunjla ke ro
parey
Kho ke kabhi ussey tou kabhi Paa ke ro parey Kab tak kissi ke soug mein rouein gey umer bhur Hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parey |
Apni Zaat ke mehwar mein tujhey Zum
kar loon
Ibaadaton mein tera Ishq bhi raqam kar loon Terey Ashkon se ho agar "Wazoo" na-mumkin Mein terey Jissm Ki Matti se "Tayamum" kar loon |
Ae chand tu chamak chahe na
chamak,hamein koi bhi gum nahi...
kyon ki yeh sms padhnewala ek chand hai jiski chamak tujh se kam nahi..... |
Palat kar Aankh Num karna, Mujhey
hurgiz nahin aata
Gaey lamhon ka ghum karna Mujhey hurgiz nahin aata Mohabbat ho tou be-had ho, Nafrat ho tou be-payaa'n Koi bhi kaam kum karna, Mujhey hurgiz nahin aata |
Ab tu hi nahin sanam to teri yaadein
hi sahi
In yaadon mein chupi hui yeh andheri raatein hi sahi Tha zindagi mein dost Ek tere saath ka hi sahara Jo Ab woh hi nahin, to tere yeh jhootey vaade hi sahi.. |
Maine unse pyar kiya,
yeh mere pyar ki had thi. Maine unpe itabar kiya, yeh mere itabar ki had thi. Markar bhi khuli rahi meri aakhen, yeh mere intizaar ki had thi.
|
Socha na thaa teri ulfat mey aisee
thokar khaayenge
Pyar kee duniya mey saans lene sey pahle hi mar jaayenge Ab pataa chala ke Ishq ek Khel hai koi jasbaat nahi Aur kitney dil yaha jeete aur haarey jaayenge Chahta tau hu magar aasaan nahi tuje bhoolna teri yaadon ke sahare yuhi din kat tey jaayenge |
Raat ki tanhai mein unko awaaz diya
karte hain
Raat mein sitaaron se unka zikre kiya karte hain Woh ayen ya na ayen humare khwabon mein Hum toh bus unhi ka intezaar kiya karte hain |
Aap Gairon ki baat karte hain,
humne Apno ko Aajmaya hai! log Katoan se bachkar chalte hain, humne Fooloan se Jakhm khaya hai!! hai.... |
Usko chaha bhi to iqraar karna na aaya,
Kat gayi umr, hamein pyar karna na aaya, Usney maanga bhi agar kuch to maangi judaai, Aur ek hum thay ke inkaar karna na aaya
|
dekhte hai duniya ki aankhon se,
aashiqon ki yehi aadat kharab hai dil ki aankhon se dekhe gar koi, har haseen ko samjhna aasan hai ... |
Jis shaam mere lab per tera naam na
aaye,
Khuda kare aisi shaam na aaye.... Aai jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin, Afsaana likhnu aur tera naam na aaye |
mushkil me hon to musakarana aasan
nahin hota,
phir bhi agar ho chehhre per mushkaan , to samjho buland haonshale ki nai pehchan. |
Eed ke din aap khadi na hona chhat par
Eed ke din aap khadi na hona chhat par kahi log roza na chod de aapku chand samaj kar |
Kisi toote dil se uski Mohabbat ki
dastaan na poochna,
gar pooccha to phir wo bikhar jayega,gar bikhar wo gaya to ek sailaab aayega,us sailaab mein yeh saara anjuman beh jayega, jisme tum to dooboge ,yeh dil bhi doob jayega... |
Koshish karta hoon jab sher banane ki
kabhi,
to kambhaqt ishq yaad aa jaata hai. Aur jab koshish karta hoon ishq yaad karne ki kabhi to na jaane kaise Sher ban jaata hai.... |
Ishq hai meetha ,to ashq(tear) hai
namkin,
Ishq se fizayein hain to ashq hai gamgeen..... (From: Vivek Manchanda - Lucknow) |
Tanhai me fariyad to kar sakte hain,
virane ko abad to ker sakte hain, kya hua ki is samay aap se mil
nahi sakte, lekin aap ko yaad to ker sakte hain.
(From: manish - lucknow) |
khwabo me shochata hoon tujh,
sapano me dekhata hoon tujhe, dil me teri hi to tashveer hai, teri hi chahat hai, teri hi tamanna hai , tu hi to meri takdeer hai. |
apane rukh pe nigaah karane do
khuubasuurat gunaah karane do rukh se pardaa haTaao jaan-e-hayaa aaj dil ko tabaah karane do |
Lamha Lamha waqt gujar jayega,Chand
lamho mein daman chut jayega.
Abhi waqt hai chand bate kar lo hamse, fir kya pata kal apki zindagi me koi aur shamil ho jayega. |
mere chehare ki hansi ho tum
mere dil ki har khushi ho tum, mere hontho ki mushkan tum hi to ho , dhadakta hai mera ye dil jishke liye wah meri jaan tum hi to ho. |